KL Rahul Aur Rishabh Pant Ki Shandaar Centuries
KL Rahul Aur Rishabh Pant Ki Shandaar Centuries Ne England Ke Samne Rakha 371 Ka Target
Headingley, Leeds – India aur England ke beech chal rha pehla Test match chauthe din ek naye mod par aakar khada ho gya, KL Rahul aur Rishabh Pant ne zabardast centuries lagakar India ko strong position mein pahucha diya. In dono ke behtareen performances ke wajah se England ko ab jeet ke liye chahiye 371 runs.

KL Rahul Aur Rishabh Pant Ki Shandaar Centuries: Rahul-Pant Ki Behtareen Partnership
Shubman Gill ke jaldi out hone ke baad Rahul aur Pant ne 195 runs ki badi partnership ki. Rahul ne apna 9th Test century banaya jabki Pant ne doosre inning me bhi century banadi – jo unke career ka historic moment tha. Is partnership ne England ke bowlers ko do session tak struggle karne par majboor kar diya.
Player | Innings | Runs Scored |
---|---|---|
KL Rahul | 2nd Innings | 137 |
Rishabh Pant | 1st Innings | 134 |
Rishabh Pant | 2nd Innings | 118 |
KL Rahul Aur Rishabh Pant Ki Shandaar Centuries ki list.
Pant Ka Record-Breaking Performance
Rishabh Pant ne sirf is match mein hi nahi, balki Test cricket ke itihaas mein bhi ek naya record banaya – wo Andy Flower ke baad sirf doosre wicketkeeper hain jinhone Test ke dono innings mein century banayi hai.
Pant ne aggressive style mein batting karte hue Chris Woakes aur spinner Shoaib Bashir ko chakma diya. Unhone sirf 11 balls mein 27 runs banaye aur fir agle 22 gendo mein apna century complete kiya.
Rahul Ka Anchoring Knock
Dusri taraf KL Rahul ne patience ke saath batting ki aur anchoring role play kiya. Unhone pace aur spin dono ke khilaf achhi batting ki. Unke isi behtareen paari ke badaulat India 370 Run tak pahuch payi.
England Ki Behtareen Wapasi
Lunch ke baad England ne naye ball ke saath match mein wapas aane ki koshish ki. Rahul, Nair, Shardul Thakur, Siraj aur Bumrah jaldi pavilion laut gayein. Tongue aur Carse ne 3-3 wickets lekar India ko 349/9 tak pahucha diya, lekin Ravindra Jadeja ke 25 important runs ke wajah se India ka total score 364 tak pahucha gya.

England Ki Doosre Inning Ki Achchhi shuruwat
Stumps tak England ne 21 runs bina kisi wicket ke bana liye hain. Zak Crawley aur Ben Duckett ne batting karte huwe achchhi shuruwat ki hai, Lekin unke samne ab bhi ek bada challenge hai – 5th day ko 350 runs banane hai aur Bumrah ka bhi challenge hoga, Iss Test ke aakhiri din ko barish aane ki possibilities batayi jaa rahi hai . To dekhte hai aakhiri din ka khel kaise chalta hai !
Brief Scores:
KL Rahul Aur Rishabh Pant Ki Shandaar Centuries
India: 471 & 364 (KL Rahul 137, Rishabh Pant 118)
England: 465 & 21/0 (Zak Crawley 12*, Ben Duckett 9*)
Target for England: 371 runs
Scorecard Details Ke Liye Yaha Jaye ESPNCricinfo
Conclusion par pahuche usse pahle is bande ke bare me aur jaan lijiye
Special Mention – JASPRIT BUMRAH
Jab baat hoti hai India vs England jaise high-pressure matches ki, to sirf batting hi nahi — bowling bhi match ka rukh badal sakti hai. Aur aise moments me sabse zyada India ko bharosa hota hai Jasprit Bumrah – The Yorker King par.
Unki behtareen line-length, perfect yorkers, aur calm aggression England ke top batters ke liye nightmare ban chuka hai. Bumrah sirf wickets nahi lete, wo match ka rukh badal dete hain — aur yahi chiz unhe world-class bowler banata hai.
Agar aapne unka recent performance dekha hai, to samajh gaye honge ki wo sirf bowler nahi, ek bowling commander hain jo sabhi bowlers ko lead karte hain .
📖 Want to read his full inspiring story?
Padhiye: Jasprit Bumrah – The Yorker King 👑
Ek aisi kahani jo har cricket lover ke dil ko chhoo legi!
Conclusion:
Rahul aur Pant ne dikhaya ki pressure mein kaise batting kiya jata hai. Dono ki centuries ne India ko ek mazboot position mein la kar rakh diya hai. Ab dekhna hoga ki England fifth day par kya strategy use kart hai, aur is muqabale ko jeet paati hai ya phir ye match draw ho jayega !
Share this content:
5 comments